FINDING HER
Jaana tu aata nahin
Sapnon se jaata nahin
Mil jaaye kya hi baat
thi
Kaamil ho jaata wahin
Jaana mere sawaalon ka
manzar tu
Haan main sookha sa
saara samandar tu
Haan gulabi si surkhi
jo dikhti thi
Phir se dikh jey toh
Jee bhar ke saah bhar
loon
Kaati kitni thi
raatein nahin soya main
Tujhko kitna bulaya
phir roya main
Teri saari wo baatein
kyun sone nahin deti
Sataye mujhe haan phir
khoya main
Tu aata nahin
Sapnon se jaata nahin
Mil jaaye kya hi baat
thi
Kaamil ho jaata wahin
Jo bhi ho raaz tera
Mujhko batata nahin
Mil jaaye kya hi baat
thi
Kamil ho jaata wahin
Sambhaal ke rakha wo
phool mera tu
Meri shayari mein
zaroor raha tu
Jo aankhon mein pyaari
si duniya basayi
Wo duniya bhi tha tu
wo lamha bhi tha tu
Haan lagte hain mujhko
yeh qisse satane
Deta na dil mera
tujhko bhulane
Adhoore se waade
Adhoori si raatein
Ab hisse me dakhil
mere bas wo yaadein
Rehna tha ban ke
humdum tera
Aise jaana hi tha phir
tu kyun thehra?
Ab na maane mera dil
Ke na tere qabil
Thi ik aarzu ki main
kehta raha
Par tu aata nahin
Sapnon se jaata nahin
Mil jaaye kya hi baat
thi
Kamil ho jaata wahin
Jo bhi ho raaz tera
Mujhko batata nahin
Mil jaaye kya hi baat
thi
Kamil ho jaata wahin
0 Comments